jo zindagi bachi hai use mat gawaiye
jo zindagī bachī hai use mat ga.vāiye
behtar ye hai ki aap mujhe bhuul jā.iye
har aan ik judā.ī hai ḳhud apne aap se
har aan kā hai zaḳhm jo har aan khā.iye
thī mashvarat kī ham ko basānā hai ghar nayā
dil ne kahā ki mere dar-o-bām Dhā.iye
thūkā hai maiñ ne ḳhuun hamesha mazāq meñ
merā mazāq aap hamesha uḌā.iye
hargiz mire huzūr kabhī aa.iye na aap
aur aa.iye agar to ḳhudā ban ke aa.iye
ab koī bhī nahīñ hai koī dil-mohalle meñ
kis kis galī meñ jā.iye aur gul machā.iye
ik taur-e-dah-sadī thā jo be-taur ho gayā
ab jantarī bajā.iye tārīḳh gā.iye
ik lāl-qil.a thā jo miyāñ zard paḌ gayā
ab rañg-rez kaun se kis jā se lā.iye
shā.ir hai aap ya.anī ki saste latīf-go
rishtoñ ko dil se roiye sab ko hañsā.iye
jo hālatoñ kā daur thā vo to guzar gayā
dil ko jalā chuke haiñ so ab ghar jalā.iye
ab kyā fareb dījiye aur kis ko dījiye
ab kyā fareb khā.iye aur kis se khā.iye
hai yaad par madār mere kārobār kā
hai arz aap mujh ko bahut yaad aa.iye
bas filoñ kā bojh uThāyā kareñ janāb
misra ye 'jaun' kā hai ise mat uThā.iye
jo zindagi bachi hai use mat gawaiye
behtar ye hai ki aap mujhe bhul jaiye
har aan ek judai hai KHud apne aap se
har aan ka hai zaKHm jo har aan khaiye
thi mashwarat ki hum ko basana hai ghar naya
dil ne kaha ki mere dar-o-baam Dhaiye
thuka hai main ne KHun hamesha mazaq mein
mera mazaq aap hamesha uDaiye
hargiz mere huzur kabhi aaiye na aap
aur aaiye agar to KHuda ban ke aaiye
ab koi bhi nahin hai koi dil-mohalle mein
kis kis gali mein jaiye aur gul machaiye
ek taur-e-dah-sadi tha jo be-taur ho gaya
ab jantari bajaiye tariKH gaiye
ek lal-qila tha jo miyan zard paD gaya
ab rang-rez kaun se kis ja se laiye
shair hai aap yani ki saste latif-go
rishton ko dil se roiye sab ko hansaiye
jo haalaton ka daur tha wo to guzar gaya
dil ko jala chuke hain so ab ghar jalaiye
ab kya fareb dijiye aur kis ko dijiye
ab kya fareb khaiye aur kis se khaiye
hai yaad par madar mere karobar ka
hai arz aap mujh ko bahut yaad aaiye
bas filon ka bojh uThaya karen janab
misra ye 'jaun' ka hai ise mat uThaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.