jo zindagi ke har ek dhaare mein jagta hai
jo zindagī ke har ek dhāre meñ jāgtā hai
tirā badan is charāġh-pāre meñ jāgtā hai
gurez kaise karegā mere vajūd se tū
ki terā sūraj mire sitāre meñ jāgtā hai
mujhe ḳhabar hai ḳhamosh soyā huā ye dariyā
kahīñ kisī dūsre kināre meñ jāgtā hai
bahut kaThin to nahīñ hai sach ko talāsh karnā
ki ye lahū ke har isti.āre meñ jāgtā hai
vo shaḳhs yuuñ hī nahīñ mire saath chalne vaalā
kahīñ koī fā.eda ḳhasāre meñ jāgtā hai
jo zindagi ke har ek dhaare mein jagta hai
tera badan is charagh-pare mein jagta hai
gurez kaise karega mere wajud se tu
ki tera suraj mere sitare mein jagta hai
mujhe KHabar hai KHamosh soya hua ye dariya
kahin kisi dusre kinare mein jagta hai
bahut kaThin to nahin hai sach ko talash karna
ki ye lahu ke har istiare mein jagta hai
wo shaKHs yun hi nahin mere sath chalne wala
kahin koi faeda KHasare mein jagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.