jo ziyan dil ka hua us ka izala ho jaun
jo ziyāñ dil kā huā us kā izāla ho jā.ūñ
ab to iz.hār-e-mohabbat kā salīqa ho jā.ūñ
khīñchnā hai tire dāman ko harīfāna mujhe
ik zarā ruk mire yūsuf maiñ zuleḳhā ho jā.ūñ
maiñ sitāre kī tarah vaqt pe hotā huuñ ġhurūb
shab tirā saath rahā ab maiñ saverā ho jā.ūñ
tere bīmār kā hotā hai maraz aur sivā
tū jo bīmār ho merā to maiñ achchhā ho jā.ūñ
maiñ shanāvar huuñ zamāne ke bhare dariyā kā
paar utarnā ho tujhe gar to safīna ho jā.ūñ
itnā be-dard abhī dil to nahīñ hai merā
saath kyuuñ chhoḌ duuñ apnā maiñ zamāna ho jā.ūñ
vaqt-e-ruḳhsat to chamak apnī dikhānī hai mujhe
chāñd banñe se rahā sub.h kā taarā ho jā.ūñ
jo ziyan dil ka hua us ka izala ho jaun
ab to izhaar-e-mohabbat ka saliqa ho jaun
khinchna hai tere daman ko harifana mujhe
ek zara ruk mere yusuf main zuleKHa ho jaun
main sitare ki tarah waqt pe hota hun ghurub
shab tera sath raha ab main sawera ho jaun
tere bimar ka hota hai maraz aur siwa
tu jo bimar ho mera to main achchha ho jaun
main shanawar hun zamane ke bhare dariya ka
par utarna ho tujhe gar to safina ho jaun
itna be-dard abhi dil to nahin hai mera
sath kyun chhoD dun apna main zamana ho jaun
waqt-e-ruKHsat to chamak apni dikhani hai mujhe
chand banne se raha subh ka tara ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.