joker nahin jo hansne-hansane ka kaam hai
joker nahīñ jo hañsne-hañsāne kā kaam hai
vahshī ko khārā dasht ugāne kā kaam hai
pahle maiñ ko.ele kī dukāñ par thā sāb-jī
ab se ḳhirad charāġh banāne kā kaam hai
tujh se nazar bachā kai hañseñge tamām log
vo yuuñ ki terā dil bhī dukhāne kā kaam hai
maiñ bādshāh ban to gayā huuñ magar marā
fariyādiyoñ ke paañv dabāne kā kaam hai
ujrat pe ek shaḳhs ko rakkhā hai jis kā sarf
achchhe dinoñ kī yaad dilāne kā kaam hai
joker nahin jo hansne-hansane ka kaam hai
wahshi ko khaara dasht ugane ka kaam hai
pahle main koele ki dukan par tha sab-ji
ab se KHirad charagh banane ka kaam hai
tujh se nazar bacha kai hansenge tamam log
wo yun ki tera dil bhi dukhane ka kaam hai
main baadshah ban to gaya hun magar mara
fariyaadiyon ke panw dabane ka kaam hai
ujrat pe ek shaKHs ko rakkha hai jis ka sarf
achchhe dinon ki yaad dilane ka kaam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.