Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jon sabza rahe ugte hi pairon ke tale hum

Shad Lakhnavi

jon sabza rahe ugte hi pairon ke tale hum

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    joñ sabza rahe ugte pairoñ ke tale ham

    barsāt ke mausam meñ bhī phūle na phale ham

    mahrūm-e-chaman murġh-e-qafas band-e-azal haiñ

    sayyād ke piñjre meñ haiñ bachpan se pale ham

    jab ġhair se hotā hai vo saffāk baġhal-gīr

    teġh-e-safhānī ko lagāte haiñ gale ham

    chakkī tarah charḳh ne piisā to hamīñ ko

    daanā haiñ zamāne ke ga.e us se valī ham

    ye shauq-e-shahādat hai jo teġh us ne 'alam

    gardan ko jhukā.e hue sayyād chale ham

    vo mast haiñ jab dar pe aḌe pīr-e-muġhāñ ke

    be-mai ke piye phir nahīñ Taale se Tale ham

    abrū havā bhī na lagī bul-havasoñ ko

    us teġh roz aañch meñ be-āb jale ham

    kuchh ġham nahīñ but samjheñ bad-o-nek jo chāheñ

    allāh ke bande haiñ bure haiñ ki bhale ham

    jon sabza rahe ugte hi pairon ke tale hum

    barsat ke mausam mein bhi phule na phale hum

    mahrum-e-chaman murgh-e-qafas band-e-azal hain

    sayyaad ke pinjre mein hain bachpan se pale hum

    jab ghair se hota hai wo saffak baghal-gir

    tegh-e-safhani ko lagate hain gale hum

    chakki ki tarah charKH ne pisa to hamin ko

    dana hain zamane ke gae us se wali hum

    ye shauq-e-shahadat hai jo tegh us ne 'alam ki

    gardan ko jhukae hue sayyaad chale hum

    wo mast hain jab dar pe aDe pir-e-mughan ke

    be-mai ke piye phir nahin Tale se Tale hum

    abru ki hawa bhi na lagi bul-hawason ko

    us tegh ki roz aanch mein be-ab jale hum

    kuchh gham nahin but samjhen bad-o-nek jo chahen

    allah ke bande hain bure hain ki bhale hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now