josh-e-junun ko koi bhi paimana chahiye
josh-e-junūñ ko koī bhī paimāna chāhiye
paanī ko ab to sar se guzar jaanā chāhiye
mere alāva kaun hai us kā koī nahīñ
lāsh-e-ḳhayāl-e-yār ko kafnānā chāhiye
mānūsiyat ne ghar kī fazā ko badal diyā
dīvār-o-dar ko maiñ nahīñ begāna chāhiye
mumkin hai umr bhar kī thakan nazr-e-lahr ho
sāhil kī ret par mujhe sustānā chāhiye
kal ho na ho vo aa.e na aa.e so aaj hī
pahlū meñ ḳhush-jamāl ke mar jaanā chāhiye
bīmār jab supurd-e-ḳhudā kar diyā to phir
ab kis liye duāoñ kā nazrāna chāhiye
maiñ haath mal rahī huuñ 'humā' us se ruuTh kar
dil meñ sahī use bhī to pachhtānā chāhiye
josh-e-junun ko koi bhi paimana chahiye
pani ko ab to sar se guzar jaana chahiye
mere alawa kaun hai us ka koi nahin
lash-e-KHayal-e-yar ko kafnana chahiye
manusiyat ne ghar ki faza ko badal diya
diwar-o-dar ko main nahin begana chahiye
mumkin hai umr bhar ki thakan nazr-e-lahr ho
sahil ki ret par mujhe sustana chahiye
kal ho na ho wo aae na aae so aaj hi
pahlu mein KHush-jamal ke mar jaana chahiye
bimar jab supurd-e-KHuda kar diya to phir
ab kis liye duaon ka nazrana chahiye
main hath mal rahi hun 'huma' us se ruTh kar
dil mein sahi use bhi to pachhtana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.