josh-e-junun mein nikle hain jab apne ghar se hum
josh-e-junun mein nikle hain jab apne ghar se hum
Ahmad Shah Khan Shabnam
MORE BYAhmad Shah Khan Shabnam
josh-e-junūñ meñ nikle haiñ jab apne ghar se ham
mil mil ke ḳhuub ro.e haiñ dīvār-o-dar se ham
taqdīr kā likhā na miTegā kisī tarah
ragḌeñ hazār sar ko tire sang-e-dar se ham
achchhī kahī ki vasl meñ ham se na boliye
bāteñ kareñge aaj bhī dīvār-o-dar se ham
ulfat raqīb kī na chhupegī kisī tarah
ai jaan taaḌ leñge tumhārī nazar se ham
chalne ko chalte haiñ magar ai bānī-e-fasād
zinda na phir ke ā.eñge dushman ke ghar se ham
phūTe hue nasīb kī ye bhī haiñ gardisheñ
sar phoḌte jo phirte haiñ dīvār-o-dar se ham
din ho gayā tamām na matlab huā tamām
likhte haiñ naama yaar ko baiThe sahar se ham
dekho jo aañkh uThā ke to jhuñjhlā ke kahte haiñ
tang aa.e bahut hī haiñ baḌoñ kī nazar se ham
ye rashk hai ki yaar se bāteñ karegā ye
laḌte haiñ baat baat pe paiġhāmbar se ham
dekheñge kitnī apnī muqaddar meñ hai kajī
ik din milā.eñge tirī tirchhī nazar se ham
shāyad tire huzūr meñ pahuñchā de ḳhatt-e-shauq
paidā kareñge rabt tire nāma-bar se ham
dikhlā.eñge kabhī asar-e-āh-e-ātishīñ
samjheñge ek din falak-e-fitna-gar se ham
bahlā rahe haiñ dil shab-e-tanhā.ī-e-firāq
pahroñ se bāteñ karte haiñ dīvār-o-dar se ham
vahshat ye chāhtī hai ki sahrā kī sair ho
dil chāhtā hai mar ke uTheñ us ke dar se ham
'shabnam' kī kuchh ḳhabar nahīñ kis haal meñ hai ab
pūchheñge ek roz nasīm-e-sahar se ham
josh-e-junun mein nikle hain jab apne ghar se hum
mil mil ke KHub roe hain diwar-o-dar se hum
taqdir ka likha na miTega kisi tarah
ragDen hazar sar ko tere sang-e-dar se hum
achchhi kahi ki wasl mein hum se na boliye
baaten karenge aaj bhi diwar-o-dar se hum
ulfat raqib ki na chhupegi kisi tarah
ai jaan taD lenge tumhaari nazar se hum
chalne ko chalte hain magar ai bani-e-fasad
zinda na phir ke aaenge dushman ke ghar se hum
phuTe hue nasib ki ye bhi hain gardishen
sar phoDte jo phirte hain diwar-o-dar se hum
din ho gaya tamam na matlab hua tamam
likhte hain nama yar ko baiThe sahar se hum
dekho jo aankh uTha ke to jhunjhla ke kahte hain
tang aae bahut hi hain baDon ki nazar se hum
ye rashk hai ki yar se baaten karega ye
laDte hain baat baat pe paighambar se hum
dekhenge kitni apni muqaddar mein hai kaji
ek din milaenge teri tirchhi nazar se hum
shayad tere huzur mein pahuncha de KHatt-e-shauq
paida karenge rabt tere nama-bar se hum
dikhlaenge kabhi asar-e-ah-e-atishin
samjhenge ek din falak-e-fitna-gar se hum
bahla rahe hain dil shab-e-tanhai-e-firaq
pahron se baaten karte hain diwar-o-dar se hum
wahshat ye chahti hai ki sahra ki sair ho
dil chahta hai mar ke uThen us ke dar se hum
'shabnam' ki kuchh KHabar nahin kis haal mein hai ab
puchhenge ek roz nasim-e-sahar se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.