josh har mauj mein uchhaal ka tha
josh har mauj meñ uchhāl kā thā
hausla ham meñ bhī kamāl kā thā
log kyoñ apnī samt bhuul ga.e
suuī kā ruḳh agar shumāl kā thā
ho ga.e mere rāste raushan
ye ujālā tire jamāl kā thā
maiñ ne bhī apne phan nikāl liye
us kā andāz ishti.āl kā thā
masjidoñ meñ duā.eñ Thahr ga.iiñ
vaqt shāyad abhī zavāl kā thā
nām-e-mahbūb par hī jaañ de dī
ishq to hazrat-e-bilāl kā thā
ham bhī rakhte the sar pe taaj 'zafar'
jab karam rabb-e-zul-jalāl kā thā
josh har mauj mein uchhaal ka tha
hausla hum mein bhi kamal ka tha
log kyon apni samt bhul gae
sui ka ruKH agar shumal ka tha
ho gae mere raste raushan
ye ujala tere jamal ka tha
main ne bhi apne phan nikal liye
us ka andaz ishtial ka tha
masjidon mein duaen Thahr gain
waqt shayad abhi zawal ka tha
nam-e-mahbub par hi jaan de di
ishq to hazrat-e-bilal ka tha
hum bhi rakhte the sar pe taj 'zafar'
jab karam rabb-e-zul-jalal ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.