josh par rang-e-tarab dekh ke maiKHane ka
josh par rang-e-tarab dekh ke maiKHane ka
Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni
MORE BYRasool Jahan Begam Makhfi Badayuni
josh par rang-e-tarab dekh ke maiḳhāne kā
jhuk ke muñh chuum liyā shīshe ne paimāne kā
saaz ishrat se nikaltī hai sadā-e-mātam
kyā ye duniyā hai muraqqā mire ġham ḳhāne kā
nazar aatī hai har ik but meñ ḳhudā kī qudrat
silsila ka.aba se miltā hai sanam-ḳhāne kā
mil ga.ī mil ga.ī daad apnī vafāoñ kī mujhe
hans diye sun ke vo qissa mare mar jaane kā
kunj-e-marqad meñ bhī ārām se sonā ma.alūm
naqsh abhī dil meñ hai guzre hue afsāne kā
sham.a ro ro ke isī ġham meñ ghulī jaatī hai
ḳhūn-e-nāhaq mirī gardan pe hai parvāne kā
dīd-e-tar ne kiye raah meñ dariyā haa.il
qasd us ne jo kiyā dil se kabhī jaane kā
haram-o-dair meñ kis tarah lage dil us kā
jis kī nazroñ meñ ho naqsha tire kāshāne kā
dekh jaao mire marne kā tamāshā tum bhī
āḳhirī baab hai ye ziist ke afsāne kā
husn aur ishq kī tafsīr mukammal ho jaa.e
sham.a ke saath rahe tazkira parvāne kā
'maḳhfī' is tarah se kuchh umr basar kī ham ne
zindagī kā huā itlāq na mar jaane kā
josh par rang-e-tarab dekh ke maiKHane ka
jhuk ke munh chum liya shishe ne paimane ka
saz ishrat se nikalti hai sada-e-matam
kya ye duniya hai muraqqa mere gham KHane ka
nazar aati hai har ek but mein KHuda ki qudrat
silsila kaba se milta hai sanam-KHane ka
mil gai mil gai dad apni wafaon ki mujhe
hans diye sun ke wo qissa mare mar jaane ka
kunj-e-marqad mein bhi aaram se sona malum
naqsh abhi dil mein hai guzre hue afsane ka
shama ro ro ke isi gham mein ghuli jati hai
KHun-e-nahaq meri gardan pe hai parwane ka
did-e-tar ne kiye rah mein dariya hail
qasd us ne jo kiya dil se kabhi jaane ka
haram-o-dair mein kis tarah lage dil us ka
jis ki nazron mein ho naqsha tere kashane ka
dekh jao mere marne ka tamasha tum bhi
aaKHiri bab hai ye zist ke afsane ka
husn aur ishq ki tafsir mukammal ho jae
shama ke sath rahe tazkira parwane ka
'maKHfi' is tarah se kuchh umr basar ki hum ne
zindagi ka hua itlaq na mar jaane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.