juD jaen tasawir to ban jae kahani
juḌ jaa.eñ tasāvīr to ban jaa.e kahānī
lamhāt ikaTThe hoñ to kahlā.e kahānī
marnā hī haqīqat hai to phir zindagī kyā hai
ye dhuup kī shiddat ye ghane saa.e kahānī
sab camere taqdīr kī jānib hī muḌe haiñ
koī mirī mehnat pe bhī filmā.e kahānī
ik dā.ere meñ ghūmtī hai soī ghaḌī kī
har baar zamāna vahī dohrā.e kahānī
ham se to ye hālāt kī parteñ nahīñ khultīñ
har ek kahānī meñ nazar aa.e kahānī
kahte haiñ tag-o-dau meñ madad kartā hai rab ḳhud
haare hue kirdār ko jitvā.e kahānī
manzar kī tarañgoñ meñ vo gahrā.ī hai 'zīshān'
mujh ko to har ik aks nazar aa.e kahānī
juD jaen tasawir to ban jae kahani
lamhat ikaTThe hon to kahlae kahani
marna hi haqiqat hai to phir zindagi kya hai
ye dhup ki shiddat ye ghane sae kahani
sab camere taqdir ki jaanib hi muDe hain
koi meri mehnat pe bhi filmae kahani
ek daere mein ghumti hai soi ghaDi ki
har bar zamana wahi dohrae kahani
hum se to ye haalat ki parten nahin khultin
har ek kahani mein nazar aae kahani
kahte hain tag-o-dau mein madad karta hai rab KHud
haare hue kirdar ko jitwae kahani
manzar ki tarangon mein wo gahrai hai 'zishan'
mujh ko to har ek aks nazar aae kahani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.