juda hue wo log ki jinko sath mein aana tha
judā hue vo log ki jin ko saath meñ aanā thā
ik aisā moḌ bhī hamārī raat meñ aanā thā
tujh se bichhaḌ jaane kā ġham kuchh ḳhaas nahīñ ham ko
ek na ik din khoT hamārī zaat meñ aanā thā
āñkhoñ ko ye kahte sunte rahte haiñ har dam
sūkhe ko aanā thā aur barsāt meñ aanā thā
ik lambī sunsān saḌak par tanhā phirte haiñ
vo aahaT thī ham ko na us kī baat meñ aanā thā
ai yaado tum aise kyuuñ is vaqt kahāñ aa.iiñ
kisī munāsib vaqt na.e hālāt meñ aanā thā
juda hue wo log ki jin ko sath mein aana tha
ek aisa moD bhi hamari raat mein aana tha
tujh se bichhaD jaane ka gham kuchh KHas nahin hum ko
ek na ek din khoT hamari zat mein aana tha
aankhon ko ye kahte sunte rahte hain har dam
sukhe ko aana tha aur barsat mein aana tha
ek lambi sunsan saDak par tanha phirte hain
wo aahaT thi hum ko na us ki baat mein aana tha
ai yaado tum aise kyun is waqt kahan aain
kisi munasib waqt nae haalat mein aana tha
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 324)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.