juda kisi se kisi ka gharaz habib na ho
judā kisī se kisī kā ġharaz habīb na ho
ye daaġh vo hai ki dushman ko bhī nasīb na ho
judā jo ham ko kare us sanam ke kūche se
ilāhī raah meñ aisā koī raqīb na ho
ilaaj kyā kareñ hukamā tap-e-judā.ī kā
sivā.e vasl ke is kā koī tabīb na ho
'nazīr' apnā to ma.ashūq ḳhūbsūrat hai
jo husn us meñ hai aisā koī ajiib na ho
juda kisi se kisi ka gharaz habib na ho
ye dagh wo hai ki dushman ko bhi nasib na ho
juda jo hum ko kare us sanam ke kuche se
ilahi rah mein aisa koi raqib na ho
ilaj kya karen hukama tap-e-judai ka
siwae wasl ke is ka koi tabib na ho
'nazir' apna to mashuq KHubsurat hai
jo husn us mein hai aisa koi ajib na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.