juda wo hote to hum unki justuju karte
judā vo hote to ham un kī justujū karte
alag nahīñ haiñ to phir kis kī aarzū karte
milā na ham ko kabhī arz-e-hāl kā mauqa.a
zabāñ na chaltī to āñkhoñ se guftugū karte
agar ye jānte ham bhī unhīñ kī sūrat haiñ
kamāl-e-shauq se apnī hī justujū karte
jo ḳhaak chāk-e-jigar hai to purze purze dil
junūñ ke hosh meñ kis kis ko ham rafū karte
dil-e-hazīñ ke makīñ tū agar sadā detā
tirī talāsh kabhī ham na kū-ba-kū karte
kamāl-e-josh-e-talab kā yahī taqāza hai
hameñ vo DhūñDte ham un kī justujū karte
namāz-e-ishq tumhārī qubūl ho jaatī
agar sharāb se tum ai 'ratan' vazū karte
juda wo hote to hum un ki justuju karte
alag nahin hain to phir kis ki aarzu karte
mila na hum ko kabhi arz-e-haal ka mauqa
zaban na chalti to aankhon se guftugu karte
agar ye jaante hum bhi unhin ki surat hain
kamal-e-shauq se apni hi justuju karte
jo KHak chaak-e-jigar hai to purze purze dil
junun ke hosh mein kis kis ko hum rafu karte
dil-e-hazin ke makin tu agar sada deta
teri talash kabhi hum na ku-ba-ku karte
kamal-e-josh-e-talab ka yahi taqaza hai
hamein wo DhunDte hum un ki justuju karte
namaz-e-ishq tumhaari qubul ho jati
agar sharab se tum ai 'ratan' wazu karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.