judai ke sitam Dhane se pahle
judā.ī ke sitam Dhāne se pahle
palaT aao bikhar jaane se pahle
ḳhushī thī rang the ra.anā.iyāñ thiiñ
tumhāre shahr meñ aane se pahle
abhī bhī vaqt hai tum lauT aao
mire dil se utar jaane se pahle
hameñ rangoñ kī yuuñ pahchān kab thī
tumhāre rū-ba-rū aane se pahle
mujhe bhī zo.am thā ġhazloñ pe apnī
tirī āñkhoñ meñ kho jaane se pahle
kahāñ the kyā the shāyad kuchh nahīñ the
tirī nazroñ meñ ham aane se pahle
judai ke sitam Dhane se pahle
palaT aao bikhar jaane se pahle
KHushi thi rang the ranaiyan thin
tumhaare shahr mein aane se pahle
abhi bhi waqt hai tum lauT aao
mere dil se utar jaane se pahle
hamein rangon ki yun pahchan kab thi
tumhaare ru-ba-ru aane se pahle
mujhe bhi zoam tha ghazlon pe apni
teri aankhon mein kho jaane se pahle
kahan the kya the shayad kuchh nahin the
teri nazron mein hum aane se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.