Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab tera hukm mila tark mohabbat kar di

Ahmad Nadeem Qasmi

jab tera hukm mila tark mohabbat kar di

Ahmad Nadeem Qasmi

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    jab tirā hukm milā tark mohabbat kar

    dil magar is pe vo dhaḌkā ki qayāmat kar

    tujh se kis tarah maiñ iz.hār-e-tamannā kartā

    lafz sūjhā to muānī ne baġhāvat kar

    maiñ to samjhā thā ki lauT aate haiñ jaane vaale

    ne kar to judā.ī mirī qismat kar

    tujh ko puujā hai ki asnām-parastī hai

    maiñ ne vahdat ke mafāhīm kasrat kar

    mujh ko dushman ke irādoñ pe bhī pyaar aatā hai

    tirī ulfat ne mohabbat mirī aadat kar

    pūchh baiThā huuñ maiñ tujh se tire kūche pata

    tere hālāt ne kaisī tirī sūrat kar

    kyā tirā jism tire husn hiddat meñ jalā

    raakh kis ne tirī sone rañgat kar

    jab tera hukm mila tark mohabbat kar di

    dil magar is pe wo dhaDka ki qayamat kar di

    tujh se kis tarah main izhaar-e-tamanna karta

    lafz sujha to muani ne baghawat kar di

    main to samjha tha ki lauT aate hain jaane wale

    tu ne ja kar to judai meri qismat kar di

    tujh ko puja hai ki asnam-parasti ki hai

    main ne wahdat ke mafahim ki kasrat kar di

    mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyar aata hai

    teri ulfat ne mohabbat meri aadat kar di

    puchh baiTha hun main tujh se tere kuche ka pata

    tere haalat ne kaisi teri surat kar di

    kya tera jism tere husn ki hiddat mein jala

    rakh kis ne teri sone ki si rangat kar di

    RECITATIONS

    Ahmad Nadeem Qasmi

    Ahmad Nadeem Qasmi,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Ahmad Nadeem Qasmi

    jab tera hukm mila tark mohabbat kar di Ahmad Nadeem Qasmi

    Nomaan Shauque

    jab tera hukm mila tark mohabbat kar di Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now