jugnu chand sitare le kar aai hun
jugnū chāñd sitāre le kar aa.ī huuñ
tohfe kitne pyāre le kar aa.ī huuñ
in sunsān fazāoñ kī ḳhāmoshī meñ
maiñ āvāz ke dhāre le kar aa.ī huuñ
zulmat-e-shab meñ kuchh to ho ummīd-e-sahar
ashkoñ ke kuchh taare le kar aa.ī huuñ
dekh bayāz-e-sher meñ kitnī ḳhushbū hai
phuul maiñ kitne saare le kar aa.ī huuñ
'shāhida' in tārīk fazāoñ kī ḳhātir
āshāoñ ke taare le kar aa.ī huuñ
jugnu chand sitare le kar aai hun
tohfe kitne pyare le kar aai hun
in sunsan fazaon ki KHamoshi mein
main aawaz ke dhaare le kar aai hun
zulmat-e-shab mein kuchh to ho ummid-e-sahar
ashkon ke kuchh tare le kar aai hun
dekh bayaz-e-sher mein kitni KHushbu hai
phul main kitne sare le kar aai hun
'shahida' in tarik fazaon ki KHatir
aashaon ke tare le kar aai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.