jugnu hawa mein le ke ujale nikal paDe
jugnū havā meñ le ke ujāle nikal paḌe
yuuñ tīrgī se laḌne jiyāle nikal paḌe
sach bolnā muhāl thā itnā ki ek din
sūraj kī bhī zabān pe chhāle nikal paḌe
itnā na soch mujh ko zarā dekh ā.īna
āñkhoñ ke gird halqe bhī kaale nikal paḌe
mahfil meñ sab ke biich thā zikr-e-bahār kal
phir jaane kaise tere havāle nikal paḌe
jugnu hawa mein le ke ujale nikal paDe
yun tirgi se laDne jiyale nikal paDe
sach bolna muhaal tha itna ki ek din
suraj ki bhi zaban pe chhaale nikal paDe
itna na soch mujh ko zara dekh aaina
aankhon ke gird halqe bhi kale nikal paDe
mahfil mein sab ke bich tha zikr-e-bahaar kal
phir jaane kaise tere hawale nikal paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.