jugnu ke sath sath hi mahtab bhi to hain
jugnū ke saath saath hī mahtāb bhī to haiñ
ham dariyā-burd gauhar-e-nāyāb bhī to haiñ
yuuñ hī nahīñ haiñ la.al-o-guhar apne haath meñ
dariyā ke ham vajūd meñ ġharqāb bhī to haiñ
tum ko to sirf maujoñ pe hāsil hai bartarī
dariyā-e-kū-e-yār meñ girdāb bhī to haiñ
jaa.ez haiñ be-qarāriyāñ lekin janāb-e-dil
us kī navāzishoñ ke kuchh ādāb bhī to haiñ
bas ik jhalak dikhā ke kahāñ chal diye huzūr
in be-qarār āñkhoñ meñ kuchh ḳhvāb bhī to haiñ
phir kis tarah se pyaas ke māroñ ko sabr ho
kuchh log mere shahr meñ sairāb bhī to haiñ
ye kyā kī 'tashna' 'tashna' kahe jā rahe haiñ aap
'tashna' ke saath saath kuchh alqāb bhī to haiñ
jugnu ke sath sath hi mahtab bhi to hain
hum dariya-burd gauhar-e-nayab bhi to hain
yun hi nahin hain lal-o-guhar apne hath mein
dariya ke hum wajud mein gharqab bhi to hain
tum ko to sirf maujon pe hasil hai bartari
dariya-e-ku-e-yar mein girdab bhi to hain
jaez hain be-qarariyan lekin janab-e-dil
us ki nawazishon ke kuchh aadab bhi to hain
bas ek jhalak dikha ke kahan chal diye huzur
in be-qarar aankhon mein kuchh KHwab bhi to hain
phir kis tarah se pyas ke maron ko sabr ho
kuchh log mere shahr mein sairab bhi to hain
ye kya ki 'tashna' 'tashna' kahe ja rahe hain aap
'tashna' ke sath sath kuchh alqab bhi to hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.