jumbish-e-lab aur hai soz-e-nihani aur hai
jumbish-e-lab aur hai soz-e-nihānī aur hai
us se jo kahnī thī mujh ko vo kahānī aur hai
zindagī kā bojh Dhote jā rahe haiñ mustaqil
aur uupar se ye ranj-e-rā.egānī aur hai
is shajar pe phal ko aa.e ik zamāna ho gayā
Daal do chuTkī se gar thoḌā sā paanī aur hai
zindagī kī mauj meñ ham bhuul baiThe haiñ sabhī
zindagī ke baa'd bhī ik zindagānī aur hai
kis qadar hālāt mere kashmakash meñ haiñ 'obaid'
dil kī dhaḌkan aur hai ḳhuuñ kī ravānī aur hai
jumbish-e-lab aur hai soz-e-nihani aur hai
us se jo kahni thi mujh ko wo kahani aur hai
zindagi ka bojh Dhote ja rahe hain mustaqil
aur upar se ye ranj-e-raegani aur hai
is shajar pe phal ko aae ek zamana ho gaya
Dal do chuTki se gar thoDa sa pani aur hai
zindagi ki mauj mein hum bhul baiThe hain sabhi
zindagi ke ba'd bhi ek zindagani aur hai
kis qadar haalat mere kashmakash mein hain 'obaid'
dil ki dhaDkan aur hai KHun ki rawani aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.