junun-e-ishq ki rasm-e-ajib kya kahna
junūn-e-ishq kī rasm-e-ajīb kyā kahnā
maiñ un se duur vo mere qarīb kyā kahnā
ye tīragi-e-musalsal meñ ek vaqfa-e-nūr
ye zindagī kā tilism-e-ajīb kyā kahnā
jo tum ho barq-e-nasheman to maiñ nasheman-e-barq
ulajh paḌe haiñ hamāre nasīb kyā kahnā
hujūm-e-rañg farāvāñ sahī magar phir bhī
bahār nauha-e-sad andalīb kyā kahnā
hazār qāfila-e-zindagī kī tīra-shabī
ye raushnī sī ufuq ke qarīb kyā kahnā
laraz ga.ī tirī lau mere Dagmagāne se
charāġh-e-gosha-e-kū-e-habīb kyā kahnā
junun-e-ishq ki rasm-e-ajib kya kahna
main un se dur wo mere qarib kya kahna
ye tiragi-e-musalsal mein ek waqfa-e-nur
ye zindagi ka tilism-e-ajib kya kahna
jo tum ho barq-e-nasheman to main nasheman-e-barq
ulajh paDe hain hamare nasib kya kahna
hujum-e-rang farawan sahi magar phir bhi
bahaar nauha-e-sad andalib kya kahna
hazar qafila-e-zindagi ki tira-shabi
ye raushni si ufuq ke qarib kya kahna
laraz gai teri lau mere Dagmagane se
charagh-e-gosha-e-ku-e-habib kya kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.