Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun-e-shauq mein aadab-e-raqs-e-wahshat kya

Ahmar Nadeem

junun-e-shauq mein aadab-e-raqs-e-wahshat kya

Ahmar Nadeem

MORE BYAhmar Nadeem

    junūn-e-shauq meñ ādāb-e-raqs-e-vahshat kyā

    shikasta paañv ko pāzeb-e-shān-o-shaukat kyā

    ham apne aap meñ rahte nahīñ haiñ dam-bhar ko

    hamāre vāste dīvār-o-dar zahmat kyā

    baḌe vasūq se āshufta-sar ye pūchhte haiñ

    dayār-e-ranj-o-mehan meñ hamārī vaq'at kyā

    ye daur-e-jahl hai mad.h-o-sanā-e-zulmat kar

    zabān-e-ḳhāma se tausīf-e-ahl-e-hikmat kyā

    jo rang laa.e to behtar vagarna dafn karo

    lahū lahū hai mirā ḳhūñ-bahā qīmat kyā

    matā'-e-sabr-o-tahammul ko donoñ hāthoñ se

    luTāne ham jo chale haiñ to itnī hairat kyā

    junun-e-shauq mein aadab-e-raqs-e-wahshat kya

    shikasta panw ko pazeb-e-shan-o-shaukat kya

    hum apne aap mein rahte nahin hain dam-bhar ko

    hamare waste diwar-o-dar ki zahmat kya

    baDe wasuq se aashufta-sar ye puchhte hain

    dayar-e-ranj-o-mehan mein hamari waq'at kya

    ye daur-e-jahl hai madh-o-sana-e-zulmat kar

    zaban-e-KHama se tausif-e-ahl-e-hikmat kya

    jo rang lae to behtar wagarna dafn karo

    lahu lahu hai mera KHun-baha ki qimat kya

    mata'-e-sabr-o-tahammul ko donon hathon se

    luTane hum jo chale hain to itni hairat kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now