Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun-e-shauq mein apni girah se kya na gaya

Shareef Munawwar

junun-e-shauq mein apni girah se kya na gaya

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    junūn-e-shauq meñ apnī girah se kyā na gayā

    ye aur baat ki ab tak vo hauslā na gayā

    ġhubār-e-rāh the barsā juuñ sahāb-e-karam

    kuchh aise baiTh ga.e ham ki phir uThā na gayā

    ye hādisa hai ki afsāna-e-ġham-e-hastī

    kahīñ kahā na gayā aur kahīñ sunā na gayā

    kahāñ kahāñ ise dekhūñ kahāñ kahāñ jā.ūñ

    talāsh ko vo koī dā.era banā na gayā

    kahāñ kahāñ na añdheroñ ne rāsta rokā

    magar ye shauq kahāñ mish.aleñ jalā na gayā

    na ho sake mirī rāhoñ meñ fāsle haa.il

    jahāñ maiñ ḳhud na gayā thā mirā fasāna gayā

    junun-e-shauq mein apni girah se kya na gaya

    ye aur baat ki ab tak wo hausla na gaya

    ghubar-e-rah the barsa jun hi sahab-e-karam

    kuchh aise baiTh gae hum ki phir uTha na gaya

    ye hadisa hai ki afsana-e-gham-e-hasti

    kahin kaha na gaya aur kahin suna na gaya

    kahan kahan ise dekhun kahan kahan jaun

    talash ko wo koi daera bana na gaya

    kahan kahan na andheron ne rasta roka

    magar ye shauq kahan mishalen jala na gaya

    na ho sake meri rahon mein fasle hail

    jahan main KHud na gaya tha mera fasana gaya

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now