junun hi se magar bilkul dil-e-diwana Khaali hai
junun hi se magar bilkul dil-e-diwana Khaali hai
Maulana Mohammad Ali Jauhar
MORE BYMaulana Mohammad Ali Jauhar
junūñ hī se magar bilkul dil-e-dīvāna ḳhālī hai
na mānūñgā asar se na.ara-e-mastāna ḳhālī hai
muravvat se tirī ham bekasoñ kī sharm rah jaatī
bharī mahfil meñ saaqī ik yahī paimāna ḳhālī hai
dilā Dar hai kahīñ ka.abe pahuñch kar tū na kah baiThe
ki vāpas chal yahāñ se ab to ye but-ḳhāna ḳhālī hai
hameñ zauq-e-asīrī chhoḌtā hai kab gulistāñ meñ
qafas meñ jab tak ai sayyād koī ḳhāna ḳhālī hai
ye maanā ham ne 'jauhar' shahr chhoḌā par kahāñ jaa.eñ
vo tere dam se thā ābād ab vīrāna ḳhālī hai
junun hi se magar bilkul dil-e-diwana KHali hai
na manunga asar se nara-e-mastana KHali hai
murawwat se teri hum bekason ki sharm rah jati
bhari mahfil mein saqi ek yahi paimana KHali hai
dila Dar hai kahin kabe pahunch kar tu na kah baiThe
ki wapas chal yahan se ab to ye but-KHana KHali hai
hamein zauq-e-asiri chhoDta hai kab gulistan mein
qafas mein jab tak ai sayyaad koi KHana KHali hai
ye mana hum ne 'jauhar' shahr chhoDa par kahan jaen
wo tere dam se tha aabaad ab virana KHali hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 31)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.