junun ka raaz mohabbat ka bhed pa na saki
junūñ kā raaz mohabbat kā bhed pā na sakī
hamārā saath ye duniyā magar nibhā na sakī
bikhar gayā huuñ fazāoñ meñ bū-e-gul kī tarah
mire vajūd meñ vus.at mirī samā na sakī
har ik qadam pe salīb-āshnā mile mujh ko
ye kā.enāt vafāoñ kā baar uThā na sakī
paTak ke rah ga.ī sar apnā rahguzāroñ se
mirī sadā dil-e-kohsār meñ samā na sakī
khulī havā kī fasīloñ meñ zindagī hai asiir
fareb-e-rañg se māhaul ko basā na sakī
razā tulū-e-sahar tak hai zindagī shab kī
ye baat ahl-e-sitam kī samajh meñ aa na sakī
junun ka raaz mohabbat ka bhed pa na saki
hamara sath ye duniya magar nibha na saki
bikhar gaya hun fazaon mein bu-e-gul ki tarah
mere wajud mein wusat meri sama na saki
har ek qadam pe salib-ashna mile mujh ko
ye kaenat wafaon ka bar uTha na saki
paTak ke rah gai sar apna rahguzaron se
meri sada dil-e-kohsar mein sama na saki
khuli hawa ki fasilon mein zindagi hai asir
fareb-e-rang se mahaul ko basa na saki
raza tulu-e-sahar tak hai zindagi shab ki
ye baat ahl-e-sitam ki samajh mein aa na saki
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 30.05.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.