junun ka raqs bhi kab tak karunga
junūñ kā raqs bhī kab tak karūñgā
kahīñ maiñ bhī Thikāne jā lagūñgā
huā jaatā hai tan ye bojh mujh par
magar ye dukh bhī ab kis se kahūñgā
bhulā duuñ kyoñ na maiñ is chup ko āḳhir
zarā se zaḳhm ko kitnā karūñgā
ḳhudā ke rañg bhī sab khul ga.e haiñ
gunāh apne bhī maiñ kyūñkar ginūñgā
tirī ḳhāmoshiyoñ kī dhuup meñ bhī
tirī āvāz meñ bhīgā rahūñgā
abhī be-bāt kitnā hañs rahā huuñ
nikal kar bazm se girya karūñgā
nahīñ va.ada nahīñ hogā koī ab
bahut hogā to bas zinda rahūñgā
junun ka raqs bhi kab tak karunga
kahin main bhi Thikane ja lagunga
hua jata hai tan ye bojh mujh par
magar ye dukh bhi ab kis se kahunga
bhula dun kyon na main is chup ko aaKHir
zara se zaKHm ko kitna karunga
KHuda ke rang bhi sab khul gae hain
gunah apne bhi main kyunkar ginunga
teri KHamoshiyon ki dhup mein bhi
teri aawaz mein bhiga rahunga
abhi be-baat kitna hans raha hun
nikal kar bazm se girya karunga
nahin wada nahin hoga koi ab
bahut hoga to bas zinda rahunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.