junun ke bab mein ab ke ye raegani ho
junūñ ke baab meñ ab ke ye rā.egānī ho
maiñ ho.uuñ aur mirā honā ik kahānī ho
ye ishq rāhbar-e-manzil-e-qayāmat hai
vo aa.e saath jise zindagī gañvānī ho
kuchh is liye bhī tirī aarzū nahīñ hai mujhe
maiñ chāhtā huuñ mirā ishq jāvedānī ho
mire badan pe to ab gard bhī nahīñ baaqī
use hai zid ki mirā yaar āsmānī ho
junun ke bab mein ab ke ye raegani ho
main houn aur mera hona ek kahani ho
ye ishq rahbar-e-manzil-e-qayamat hai
wo aae sath jise zindagi ganwani ho
kuchh is liye bhi teri aarzu nahin hai mujhe
main chahta hun mera ishq jawedani ho
mere badan pe to ab gard bhi nahin baqi
use hai zid ki mera yar aasmani ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.