Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun ke qafilon ki be-nishan manzil ka kya kahna

Asim Bakhshi

junun ke qafilon ki be-nishan manzil ka kya kahna

Asim Bakhshi

MORE BYAsim Bakhshi

    junūñ ke qāfiloñ be-nishāñ manzil kyā kahnā

    asīrān-e-ḳhirad ke haal meñ shāmil kyā kahnā

    jamāl-e-mastī-e-ġharqāb meñ dam-ḳham to hai lekin

    kisī chashm-e-fanā ḳhvāhish-e-sāhil kyā kahnā

    darūn-e-azdahām-e-mardumāñ gar ḳhud se milnā ho

    to aisī ittifāqī munfarid mahfil kyā kahnā

    hai gar apnā muqaddar kushta-e-teġh-e-jafā honā

    to phir ek nā-gahānī pañja-e-qātil kyā kahnā

    tire qasr-e-vafā chhat tale zinda to haiñ ham-dam

    magar is sā.ebān-e-shauq-e-lā-hāsil kyā kahnā

    hameñ bhī ishtiyāq-e-inkishāf-e-haq to hai 'āsim'

    magar is maḳhmase is dā.imī mushkil kyā kahnā

    junun ke qafilon ki be-nishan manzil ka kya kahna

    asiran-e-KHirad ke haal mein shamil ka kya kahna

    jamal-e-masti-e-gharqab mein dam-KHam to hai lekin

    kisi chashm-e-fana ki KHwahish-e-sahil ka kya kahna

    darun-e-azdaham-e-marduman gar KHud se milna ho

    to aisi ittifaqi munfarid mahfil ka kya kahna

    hai gar apna muqaddar kushta-e-tegh-e-jafa hona

    to phir ek na-gahani panja-e-qatil ka kya kahna

    tere qasr-e-wafa ki chhat tale zinda to hain ham-dam

    magar is saeban-e-shauq-e-la-hasil ka kya kahna

    hamein bhi ishtiyaq-e-inkishaf-e-haq to hai 'asim'

    magar is maKHmase is daimi mushkil ka kya kahna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now