junun ke walwale jab ghuT gae dil mein nihan ho kar
junūñ ke valvale jab ghuT ga.e dil meñ nihāñ ho kar
to uTThe haiñ dhuāñ ho kar gire haiñ bijliyāñ ho kar
kuchh aage baḌh chale sāmān-e-rāhat lā-makāñ ho kar
falak pīchhe rahā jaatā hai gard-e-kārvāñ ho kar
kisī din to chale ai āsmāñ bād-e-murād aisī
ki utreñ kashtī-e-mai par ghaTā.eñ bādbāñ ho kar
na jaane kis bayābāñ marg ne miTTī nahīñ paa.ī
bagūle jā rahe haiñ kārvāñ-dar-kārvāñ ho kar
vafūr-e-zabt se betābī-e-dil baḌh nahīñ saktī
gale tak aa ke rah jaate haiñ naale hichkiyāñ ho kar
gulū-gīr ab to aisā inqalāb-e-rañg-e-ālam hai
ki naġhme nikle minqār-e-anādil se fuġhāñ ho kar
jo ho kar abr se māyūs ḳhud sīñche kabhī dahqāñ
jalā deñ khet ko paanī kī lahreñ bijliyāñ ho kar
jahāñ meñ vāshud-e-ḳhātir ke sāmāñ ho ga.e lāshe
jagah rāhat kī nā-mumkin huī hai lā-makāñ ho kar
hañse koī na bijlī ke sivā is dār-e-mātam meñ
agar rah jaa.e saarā khet kisht-e-za.afrāñ ho kar
alam meñ āshiyāñ ke is qadar tinke chune maiñ ne
ki āḳhir bā'is-e-taskīñ hue haiñ āshiyāñ ho kar
ghaTā.eñ ghir ke kyā kyā hasrat-e-farhād par roiiñ
chaman tak aa ga.iiñ nahreñ pahāḌoñ se ravāñ ho kar
dil-e-shaidā ne paayā 'ishq meñ me'rāj kā rutba
yahāñ aksar butoñ ke zulm TuuTe āsmāñ ho kar
jo Darte Darte dil se ek harf-e-shauq niklā thā
vo us ke sāmne aayā zabāñ par dāstāñ ho kar
nikal aa.e haiñ har iqrār meñ inkār ke pahlū
banā detī haiñ hairāñ terī bāteñ makr yaañ ho kar
nazākat kā ye 'ālam phuul bhī toḌe to bal khā kar
na jaane dil mirā kis tarah toḌā pahlvāñ ho kar
tadarrau-o-kabak par hañs kar uTThe ḳhud laḌkhaḌāte haiñ
subuk karte haiñ un ko pā.eñche bār-e-girāñ ho kar
galā ghoñTā hai zabt-e-ġham ne kuchh aisā ki mushkil hai
ki nikle muñh se āvāz-e-shikast-e-dil fuġhāñ ho kar
pata andesha-e-sālik ne paayā manzil-e-dil kā
tū palTā lā-makāñ se āsmāñ-dar-āsmāñ ho kar
huī phir dekhiye aa bustan-e-shādī-o-ġham duniyā
abhī paidā hue the ranj-o-rāhat to amaañ ho kar
jo niklī hogī koī aarzū to ye bhī niklegā
tumhārā tīr-e-hasrat ban gayā dil meñ nihāñ ho kar
utar jā.egā tū o āftāb-e-husn koThe se
giregā sāya-e-dīvār ham par āsmāñ ho kar
junun ke walwale jab ghuT gae dil mein nihan ho kar
to uTThe hain dhuan ho kar gire hain bijliyan ho kar
kuchh aage baDh chale saman-e-rahat la-makan ho kar
falak pichhe raha jata hai gard-e-karwan ho kar
kisi din to chale ai aasman baad-e-murad aisi
ki utren kashti-e-mai par ghaTaen baadban ho kar
na jaane kis bayaban marg ne miTTi nahin pai
bagule ja rahe hain karwan-dar-karwan ho kar
wafur-e-zabt se betabi-e-dil baDh nahin sakti
gale tak aa ke rah jate hain nale hichkiyan ho kar
gulu-gir ab to aisa inqalab-e-rang-e-alam hai
ki naghme nikle minqar-e-anadil se fughan ho kar
jo ho kar abr se mayus KHud sinche kabhi dahqan
jala den khet ko pani ki lahren bijliyan ho kar
jahan mein washud-e-KHatir ke saman ho gae lashe
jagah rahat ki na-mumkin hui hai la-makan ho kar
hanse koi na bijli ke siwa is dar-e-matam mein
agar rah jae sara khet kisht-e-zafran ho kar
alam mein aashiyan ke is qadar tinke chune main ne
ki aaKHir ba'is-e-taskin hue hain aashiyan ho kar
ghaTaen ghir ke kya kya hasrat-e-farhad par roin
chaman tak aa gain nahren pahaDon se rawan ho kar
dil-e-shaida ne paya 'ishq mein me'raj ka rutba
yahan aksar buton ke zulm TuTe aasman ho kar
jo Darte Darte dil se ek harf-e-shauq nikla tha
wo us ke samne aaya zaban par dastan ho kar
nikal aae hain har iqrar mein inkar ke pahlu
bana deti hain hairan teri baaten makr yan ho kar
nazakat ka ye 'alam phul bhi toDe to bal kha kar
na jaane dil mera kis tarah toDa pahlwan ho kar
tadarrau-o-kabak par hans kar uTThe KHud laDkhaDate hain
subuk karte hain un ko paenche bar-e-giran ho kar
gala ghonTa hai zabt-e-gham ne kuchh aisa ki mushkil hai
ki nikle munh se aawaz-e-shikast-e-dil fughan ho kar
pata andesha-e-salik ne paya manzil-e-dil ka
tu palTa la-makan se aasman-dar-asman ho kar
hui phir dekhiye aa bustan-e-shadi-o-gham duniya
abhi paida hue the ranj-o-rahat to aman ho kar
jo nikli hogi koi aarzu to ye bhi niklega
tumhaara tir-e-hasrat ban gaya dil mein nihan ho kar
utar jaega tu o aaftab-e-husn koThe se
girega saya-e-diwar hum par aasman ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.