junun KHatm hua etidal rah gaya hai
junūn ḳhatm huā e'tidāl rah gayā hai
biphar rahā thā jo dariyā niDhāl rah gayā hai
jise duā ke sahāre pe ibtidā kiyā thā
guzar gayā hai vo mausam vo saal rah gayā hai
tumhāre sard ravayye se saaf zāhir hai
hamārā kuchh to ta.alluq bahāl rah gayā hai
jhaTak ke haath chalā hai baḌī hī ujlat meñ
zarā Thahar ki zarūrī savāl rah gayā hai
ki dil meñ Tiis bhī uThtī hai der der ke baad
tirā ḳhayāl bhī ab ḳhāl-ḳhāl rah gayā hai
gayā hai jo bhī use rauñd kar gayā āḳhir
ye bāġh-e-ḳhvāb-numā pā.emāl rah gayā hai
charāġh-e-hijr se ubhrī hai ik dhueñ kī lakīr
so dard bujh gayā hai aur malāl rah gayā hai
junun KHatm hua e'tidal rah gaya hai
biphar raha tha jo dariya niDhaal rah gaya hai
jise dua ke sahaare pe ibtida kiya tha
guzar gaya hai wo mausam wo sal rah gaya hai
tumhaare sard rawayye se saf zahir hai
hamara kuchh to talluq bahaal rah gaya hai
jhaTak ke hath chala hai baDi hi ujlat mein
zara Thahar ki zaruri sawal rah gaya hai
ki dil mein Tis bhi uThti hai der der ke baad
tera KHayal bhi ab KHal-KHal rah gaya hai
gaya hai jo bhi use raund kar gaya aaKHir
ye bagh-e-KHwab-numa paemal rah gaya hai
charagh-e-hijr se ubhri hai ek dhuen ki lakir
so dard bujh gaya hai aur malal rah gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.