junun ki rah mein pahle dar-e-jaanana aata hai
junūñ kī raah meñ pahle dar-e-jānāna aatā hai
farāġhat hai phir is ke baad hī vīrāna aatā hai
ye dil kī baat hai aur baat ye dil hī samajhtā hai
hamāre paas aksar chal ke ḳhud mai-ḳhāna aatā hai
karo har gaam par sajde mohabbat kā taqāza hai
bahut nazdīk hai aur yaar kā kāshāna aatā hai
huī hai kārgar tarkīb mere dil kī ḳhvāhish kī
mujhe bīmār sun kar koī betābāna aatā hai
lagātī hai gale se sham.a us ko maiñ samajhtā huuñ
fanā ho kar baqā ke rañg meñ parvāna aatā hai
shafaq se mai barastī hai ajab gul-rañg hai aalam
nazar meñ merī sūraj sūrat-e-paimāna aatā hai
suḳhan hai mo'atabar terā 'suhail' us ne kahā mujh se
qalam se tere aksar sher ustādāna aatā hai
junun ki rah mein pahle dar-e-jaanana aata hai
faraghat hai phir is ke baad hi virana aata hai
ye dil ki baat hai aur baat ye dil hi samajhta hai
hamare pas aksar chal ke KHud mai-KHana aata hai
karo har gam par sajde mohabbat ka taqaza hai
bahut nazdik hai aur yar ka kashana aata hai
hui hai kargar tarkib mere dil ki KHwahish ki
mujhe bimar sun kar koi betabana aata hai
lagati hai gale se shama us ko main samajhta hun
fana ho kar baqa ke rang mein parwana aata hai
shafaq se mai barasti hai ajab gul-rang hai aalam
nazar mein meri suraj surat-e-paimana aata hai
suKHan hai mo'atabar tera 'suhail' us ne kaha mujh se
qalam se tere aksar sher ustadana aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.