junun ki zindagi nakaam kyon hai
junūñ kī zindagī nākām kyoñ hai
vafā kā bevafā.ī naam kyoñ hai
samajh meñ ye muamma kyoñ na aaya
ki mujh se dūr-tar ārām kyoñ hai
nahīñ hai husn kī koī ḳhatā kyā
hamīñ par husn kā ilzām kyoñ hai
sukūñ hāsil nahīñ insāniyat ko
jahāñ meñ is qadar kohrām kyoñ hai
chaman kī aabrū kahte the jis ko
parinda ab vo zer-e-dām kyoñ hai
abhī āġhāz hai ulfat kā yaaro
nazar ke sāmne anjām kyoñ hai
unheñ hāsil hai 'ādil' sub.h-e-ishrat
muqaddar meñ mire hī shaam kyoñ hai
junun ki zindagi nakaam kyon hai
wafa ka bewafai nam kyon hai
samajh mein ye muamma kyon na aaya
ki mujh se dur-tar aaram kyon hai
nahin hai husn ki koi KHata kya
hamin par husn ka ilzam kyon hai
sukun hasil nahin insaniyat ko
jahan mein is qadar kohram kyon hai
chaman ki aabru kahte the jis ko
parinda ab wo zer-e-dam kyon hai
abhi aaghaz hai ulfat ka yaro
nazar ke samne anjam kyon hai
unhen hasil hai 'adil' subh-e-ishrat
muqaddar mein mere hi sham kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.