junun ko bhi arz-e-haal ka ehtimam karna sikha rahi hun
junūñ ko bhī arz-e-hāl kā ehtimām karnā sikhā rahī huuñ
maiñ dil kī dhaḌkan ko shor-e-ġham se kalām karnā sikhā rahī huuñ
sikhā rahī huuñ charāġh ko ye ki jal ke bujhne kā husn kyā hai
havāoñ ko raushnī kā maiñ ehtirām karnā sikhā rahī huuñ
vo zindagī jis ke naaz uThā.e na jaane kis lamha ruḳh badal le
isī liye to maiñ apnī sub.hoñ ko shaam karnā sikhā rahī huuñ
na.e mafāhīm raah paa.eñ na.e ma.ānī safar pe nikleñ
so harf ko shahr-e-āgahī meñ qayām karnā sikhā rahī huuñ
samundaroñ ke safar meñ āḳhir ye kin jazīroñ kī raushnī hai
na.ī zamīnoñ ke raaz sāhil ko aam karnā sikhā rahī huuñ
ye dā.ere zāviye ye qauseñ ye nok-e-parkār kā hunar haiñ
isī hunar se tamām ko nā-tamām karnā sikhā rahī huuñ
na aah koī na koī aañsū ye dard kī bazm hai so dil ko
baḌe salīqe se jashn kā intizām karnā sikhā rahī huuñ
junun ko bhi arz-e-haal ka ehtimam karna sikha rahi hun
main dil ki dhaDkan ko shor-e-gham se kalam karna sikha rahi hun
sikha rahi hun charagh ko ye ki jal ke bujhne ka husn kya hai
hawaon ko raushni ka main ehtiram karna sikha rahi hun
wo zindagi jis ke naz uThae na jaane kis lamha ruKH badal le
isi liye to main apni subhon ko sham karna sikha rahi hun
nae mafahim rah paen nae maani safar pe niklen
so harf ko shahr-e-agahi mein qayam karna sikha rahi hun
samundaron ke safar mein aaKHir ye kin jaziron ki raushni hai
nai zaminon ke raaz sahil ko aam karna sikha rahi hun
ye daere zawiye ye qausen ye nok-e-parkar ka hunar hain
isi hunar se tamam ko na-tamam karna sikha rahi hun
na aah koi na koi aansu ye dard ki bazm hai so dil ko
baDe saliqe se jashn ka intizam karna sikha rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.