junun mein intiha hone se pahle
junūñ meñ intihā hone se pahle
na sochā thā ḳhudā hone se pahle
badan par aaj ḳhāmoshī lapeTe
chalā aaya sadā hone se pahle
bichhaḌte vaqt kahnā thā bahut kuchh
maiñ kyā kahtā judā hone se pahle
maiñ terā huuñ ye ab jaanā hai maiñ ne
maiñ kis kā thā tirā hone se pahle
vafā kā har chalan sikhlā diyā thā
kisī ne bevafā hone se pahle
nikal aa.uuñ tirī sarhad se bāhar
maiñ ḳhud se māvarā hone se pahle
junun mein intiha hone se pahle
na socha tha KHuda hone se pahle
badan par aaj KHamoshi lapeTe
chala aaya sada hone se pahle
bichhaDte waqt kahna tha bahut kuchh
main kya kahta juda hone se pahle
main tera hun ye ab jaana hai main ne
main kis ka tha tera hone se pahle
wafa ka har chalan sikhla diya tha
kisi ne bewafa hone se pahle
nikal aaun teri sarhad se bahar
main KHud se mawara hone se pahle
- Book : Ishq (Pg. 43)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.