junūñ-navāz safar kā ḳhayāl kyuuñ aayā
kisī kī rāhguzar kā ḳhayāl kyuuñ aayā
na jaane kaun apāhij banā rahā hai hameñ
safar meñ tark-e-safar kā ḳhayāl kyuuñ aayā
junūñ ko terī zarūrat kā kyuuñ huā ehsās
safar-guzār ko ghar kā ḳhayāl kyuuñ aayā
bahut dinoñ se idhar us ko yaad bhī na kiyā
bahut dinoñ se udhar kā ḳhayāl kyuuñ aayā
yahāñ to aur bhī rahte haiñ ahl-e-dard 'shafaq'
tumheñ paḌos ke ghar kā ḳhayāl kyuuñ aayā
junun-nawaz safar ka KHayal kyun aaya
kisi ki rahguzar ka KHayal kyun aaya
na jaane kaun apahij bana raha hai hamein
safar mein tark-e-safar ka KHayal kyun aaya
junun ko teri zarurat ka kyun hua ehsas
safar-guzar ko ghar ka KHayal kyun aaya
bahut dinon se idhar us ko yaad bhi na kiya
bahut dinon se udhar ka KHayal kyun aaya
yahan to aur bhi rahte hain ahl-e-dard 'shafaq'
tumhein paDos ke ghar ka KHayal kyun aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.