junun sukun KHirad iztirab chahti hai
junūñ sukūn ḳhirad iztirāb chāhtī hai
tabī.at aaj nayā inqalāb chāhtī hai
na aaj terī nazar se baras rahā hai nasha
na merī tishna-labī hī sharāb chāhtī hai
nahīñ surūr-e-musalsal nibāh par mauqūf
mudām aañkh kahāñ lutf-e-ḳhvāb chāhtī hai
sunā rahā huuñ fasāna tirī mohabbat kā
ye kā.enāt amal kā hisāb chāhtī hai
vo azm-hā-e-safar lā-zavāl hote haiñ
hayāt maut ko jab ham-rikāb chāhtī hai
jhulas rahā hai badan dhuup meñ javānī kī
ye aag zulf kā gahrā sahāb chāhtī hai
harīf-e-husn-o-mohabbat ho der tak 'shaukat'
nigār-e-umr vo ahd-e-shabāb chāhtī hai
junun sukun KHirad iztirab chahti hai
tabiat aaj naya inqalab chahti hai
na aaj teri nazar se baras raha hai nasha
na meri tishna-labi hi sharab chahti hai
nahin surur-e-musalsal nibah par mauquf
mudam aankh kahan lutf-e-KHwab chahti hai
suna raha hun fasana teri mohabbat ka
ye kaenat amal ka hisab chahti hai
wo azm-ha-e-safar la-zawal hote hain
hayat maut ko jab ham-rikab chahti hai
jhulas raha hai badan dhup mein jawani ki
ye aag zulf ka gahra sahab chahti hai
harif-e-husn-o-mohabbat ho der tak 'shaukat'
nigar-e-umr wo ahd-e-shabab chahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.