jurat hai to tufan se guzar kyon nahin jate
jur.at hai to tūfāñ se guzar kyoñ nahīñ jaate
zinda nahīñ ehsās to mar kyoñ nahīñ jaate
gesū tire lahrā ke bikhar kyoñ nahīñ jaate
dil meñ tire andāz utar kyoñ nahīñ jaate
maiñ gosha-e-tanhā.ī meñ sustā luuñ zarā sā
kuchh der ko ālām Thahar kyoñ nahīñ jaate
siine meñ machalte hue jazbāt ke dhāre
ash.ār ke qālib meñ utar kyoñ nahīñ jaate
kis soch meñ gum baiThe ho rāhoñ meñ 'tabassum'
vīrāñ sahī apnā to hai ghar kyoñ nahīñ jaate
jurat hai to tufan se guzar kyon nahin jate
zinda nahin ehsas to mar kyon nahin jate
gesu tere lahra ke bikhar kyon nahin jate
dil mein tere andaz utar kyon nahin jate
main gosha-e-tanhai mein susta lun zara sa
kuchh der ko aalam Thahar kyon nahin jate
sine mein machalte hue jazbaat ke dhaare
ashaar ke qalib mein utar kyon nahin jate
kis soch mein gum baiThe ho rahon mein 'tabassum'
viran sahi apna to hai ghar kyon nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.