juraton hauslon umangon se
jur.atoñ hausloñ umangoñ se
na.ara-e-haq buland kar pyāre
jo tujhe kisht-o-ḳhūñ se miltī ho
us masarrat pe aah bhar pyāre
ġham tarab-ḳhez hai ki jāñ-levā
ab ye qissa tamām kar pyāre
haañ har ik baat husn rakhtī hai
apne apne maqām par pyāre
tū bhī irfān-e-āgahī pā le
tū bhī hai sāhib-e-nazar pyāre
hai to mushkil magar hai imkāñ meñ
muskurānā ba-chashm-e-tar pyāre
jāntā huuñ javāb kyā hogā
phir bhī apnā savāl kar pyāre
dekho to ḳhud hī TuuT jā.egā
mat use chaah TuuT kar pyāre
jo tujhe shāhkār kar degā
hai vo ik aañch kī kasar pyāre
tujh ko saugand ādmiyyat kī
lamha lamha sañvar nikhar pyāre
aaj to dil hai vaqt aane par
nazr kar dūñgā apnā sar pyāre
juraton hauslon umangon se
nara-e-haq buland kar pyare
jo tujhe kisht-o-KHun se milti ho
us masarrat pe aah bhar pyare
gham tarab-KHez hai ki jaan-lewa
ab ye qissa tamam kar pyare
han har ek baat husn rakhti hai
apne apne maqam par pyare
tu bhi irfan-e-agahi pa le
tu bhi hai sahib-e-nazar pyare
hai to mushkil magar hai imkan mein
muskurana ba-chashm-e-tar pyare
jaanta hun jawab kya hoga
phir bhi apna sawal kar pyare
dekho to KHud hi TuT jaega
mat use chah TuT kar pyare
jo tujhe shahkar kar dega
hai wo ek aanch ki kasar pyare
tujh ko saugand aadmiyyat ki
lamha lamha sanwar nikhar pyare
aaj to dil hai waqt aane par
nazr kar dunga apna sar pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.