jurm aisa bhi meri jaan mujhse kya hone laga
jurm aisā bhī mirī jaañ mujh se kyā hone lagā
tere mere darmiyāñ jo fāsla hone lagā
sāda-dil ko lūTtā hai ye zamāna kis tarah
dhīre dhīre ab mujhe bhī tajraba hone lagā
āb-e-zamzam aur gañgā jal ko pī kar boliye
kyā vo ġhunda aur mavālī pārsā hone lagā
ab uThā kar pheñk diije mulk ke dastūr ko
hukmarāñ ke hukm par jab faisla hone lagā
aap kī āñkhoñ ne jaane mere dil se kyā kahā
ba.ad jis ke saarā manzar ḳhushnumā hone lagā
jurm aisa bhi meri jaan mujh se kya hone laga
tere mere darmiyan jo fasla hone laga
sada-dil ko luTta hai ye zamana kis tarah
dhire dhire ab mujhe bhi tajraba hone laga
aab-e-zamzam aur ganga jal ko pi kar boliye
kya wo ghunda aur mawali parsa hone laga
ab uTha kar phenk dije mulk ke dastur ko
hukmaran ke hukm par jab faisla hone laga
aap ki aankhon ne jaane mere dil se kya kaha
baad jis ke sara manzar KHushnuma hone laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.