jurm-e-ulfat pe hamein log saza dete hain
jurm-e-ulfat pe hameñ log sazā dete haiñ
kaise nādān haiñ sho.aloñ ko havā dete haiñ
ham se dīvāne kahīñ tark-e-vafā karte haiñ
jaan jaa.e ki rahe baat nibhā dete haiñ
aap daulat ke tarāzū meñ diloñ ko tauleñ
ham mohabbat se mohabbat kā sila dete haiñ
taḳht kyā chiiz hai aur la.al-o-javāhar kyā haiñ
ishq vaale to ḳhudā.ī bhī luTā dete haiñ
ham ne dil de bhī diyā ahd-e-vafā le bhī liyā
aap ab shauq se de leñ jo sazā dete haiñ
jurm-e-ulfat pe hamein log saza dete hain
kaise nadan hain shoalon ko hawa dete hain
hum se diwane kahin tark-e-wafa karte hain
jaan jae ki rahe baat nibha dete hain
aap daulat ke taraazu mein dilon ko taulen
hum mohabbat se mohabbat ka sila dete hain
taKHt kya chiz hai aur lal-o-jawahar kya hain
ishq wale to KHudai bhi luTa dete hain
hum ne dil de bhi diya ahd-e-wafa le bhi liya
aap ab shauq se de len jo saza dete hain
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 331)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.