jurm ulfat ki mujhe KHub saza deta hai
jurm ulfat kī mujhe ḳhuub sazā detā hai
ḳhat ko paḌhtā bhī nahīñ aur jalā detā hai
TuuT jaate haiñ sabhī ā.ina-ḳhāne mere
jab taḳhayyul tirī tasvīr banā detā hai
mere hākim ko bahut bār-e-garāñ guzregā
koī zālim hai jo zanjīr hilā detā hai
us ke aane kī mujhe jhūTī tasallī mat do
ye dilāsa to mirā dard baḌhā detā hai
mere ahbāb ko kuchh sochnā hogā 'dā.em'
merā dushman mujhe jiine kī duā detā hai
jurm ulfat ki mujhe KHub saza deta hai
KHat ko paDhta bhi nahin aur jala deta hai
TuT jate hain sabhi aaina-KHane mere
jab taKHayyul teri taswir bana deta hai
mere hakim ko bahut bar-e-garan guzrega
koi zalim hai jo zanjir hila deta hai
us ke aane ki mujhe jhuTi tasalli mat do
ye dilasa to mera dard baDha deta hai
mere ahbab ko kuchh sochna hoga 'daem'
mera dushman mujhe jine ki dua deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.