justaju-e-bahaar aaj bhi hai
justajū-e-bahār aaj bhī hai
yaar kā intizār aaj bhī hai
tum ne dekhā thā jis nazar se mujhe
us nazar kā ḳhumār aaj bhī hai
hijr meñ tere kal bhī rote the
chashm-e-dil ashk-bār aaj bhī hai
ahl-e-duniyā badal ga.e ham se
mai-kada ġham-gusār aaj bhī hai
aaj bhī dil ke haiñ javāñ jazbe
'āshiqoñ meñ shumār aaj bhī hai
dil to TuuTā huā hai 'sāqī' kā
lekin ummīd-vār aaj bhī hai
justaju-e-bahaar aaj bhi hai
yar ka intizar aaj bhi hai
tum ne dekha tha jis nazar se mujhe
us nazar ka KHumar aaj bhi hai
hijr mein tere kal bhi rote the
chashm-e-dil ashk-bar aaj bhi hai
ahl-e-duniya badal gae hum se
mai-kada gham-gusar aaj bhi hai
aaj bhi dil ke hain jawan jazbe
'ashiqon mein shumar aaj bhi hai
dil to TuTa hua hai 'saqi' ka
lekin ummid-war aaj bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.