justuju mein kamal karta ja
justujū meñ kamāl kartā jā
tapte sahrāoñ se guzartā jā
sard aahoñ se dil kī aag bujhā
garm ashkoñ se jaam bhartā jā
aaj merā bharam bhī rah jaa.e
ik uchaTtī nigāh kartā jā
merī pahchān ho jahāñ se alag
mere ḳhāke meñ rañg bhartā jā
ḳhud se milne kī hai agar chāhat
ḳhauf ke jaal ko katartā jā
tujh ko 'hasrat' banā.egī kundan
aag meñ kuud kar nikhartā jā
justuju mein kamal karta ja
tapte sahraon se guzarta ja
sard aahon se dil ki aag bujha
garm ashkon se jam bharta ja
aaj mera bharam bhi rah jae
ek uchaTti nigah karta ja
meri pahchan ho jahan se alag
mere KHake mein rang bharta ja
KHud se milne ki hai agar chahat
KHauf ke jal ko katarta ja
tujh ko 'hasrat' banaegi kundan
aag mein kud kar nikharta ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.