Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

justuju rahraw-e-ulfat ki jo kaamil ho jae

Ehsan Danish

justuju rahraw-e-ulfat ki jo kaamil ho jae

Ehsan Danish

MORE BYEhsan Danish

    justujū rahrav-e-ulfat jo kāmil ho jaa.e

    shauq-e-manzil charāġh-e-rah-e-manzil ho jaa.e

    haa.e ye josh-e-tamannā ye nigūñ-sārī-e-ishq

    vo jo aise meñ chale aa.eñ to mushkil ho jaa.e

    justujū shart hai manzil nahīñ mashrūt-e-talab

    gum ho is tarah ki gard-e-rah-e-manzil ho jaa.e

    vasl ḳhvāb kujā lazzat-e-dīdār kujā

    hai ġhanīmat jo tirā dard bhī hāsil ho jaa.e

    zabt bhī sabr bhī imkān meñ sab kuchh hai magar

    pahle kambaḳht mirā dil to mirā dil ho jaa.e

    aah us āshiq-e-nāshād jiinā ai dost

    jis ko marnā bhī tire ishq meñ mushkil ho jaa.e

    kāmrāñ hai vo mohabbat jo bane rūh-e-gudāz

    dard-e-dil had se guzar jaa.e to ḳhud dil ho jaa.e

    mahfil-e-dost meñ chaltā to huuñ ai dīda-e-shauq

    ishq raaz na afsana-e-mahfil ho jaa.e

    qābil-e-rashk bane zindagī-e-ishq us

    jis zindagī-e-ishq hāsil ho jaa.e

    apne 'ehsān' ko koī tadbīr batā

    jis se ye nañg-e-mohabbat tire qābil ho jaa.e

    justuju rahraw-e-ulfat ki jo kaamil ho jae

    shauq-e-manzil hi charagh-e-rah-e-manzil ho jae

    hae ye josh-e-tamanna ye nigun-sari-e-ishq

    wo jo aise mein chale aaen to mushkil ho jae

    justuju shart hai manzil nahin mashrut-e-talab

    gum ho is tarah ki gard-e-rah-e-manzil ho jae

    wasl ka KHwab kuja lazzat-e-didar kuja

    hai ghanimat jo tera dard bhi hasil ho jae

    zabt bhi sabr bhi imkan mein sab kuchh hai magar

    pahle kambaKHt mera dil to mera dil ho jae

    aah us aashiq-e-nashad ka jina ai dost

    jis ko marna bhi tere ishq mein mushkil ho jae

    kaamran hai wo mohabbat jo bane ruh-e-gudaz

    dard-e-dil had se guzar jae to KHud dil ho jae

    mahfil-e-dost mein chalta to hun ai dida-e-shauq

    ishq ka raaz na afsana-e-mahfil ho jae

    qabil-e-rashk bane zindagi-e-ishq us ki

    jis ki tu zindagi-e-ishq ka hasil ho jae

    apne 'ehsan' ko tu hi koi tadbir bata

    jis se ye nang-e-mohabbat tere qabil ho jae

    Source :
    • Book : Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 244)
    • Author : Shabnam Parveen
    • Publication : Asghar Publishers (2006)
    • Edition : 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now