justuju teri dard-e-sar Thahri
justujū terī dard-e-sar Thahrī
le ke mujh ko ye dar-ba-dar Thahrī
tujh se mansūb jab talak maiñ rahī
merī hastī bhī mo'atabar Thahrī
ye mirī zindagī tumhāre baġhair
kitnī be-rañg-o-muḳhtasar Thahrī
mushkileñ mujh ko DhūñDne nikleñ
dam jo lene ko lamha bhar Thahrī
ye salīqa tujhī se aayā hai
baat karne meñ bā-hunar Thahrī
uf tirī bāñhoñ kā hisār-e-latīf
yuuñ lagā shaam meñ sahar Thahrī
jis pe mahv-e-safar rahā tū mudām
bas vahī merī rahguzar Thahrī
ek tum ho ki haath meñ patthar
aur maiñ ek shīshagar Thahrī
apne irfān-e-zāt se 'rūmī'
apne andar maiñ mo'atabar Thahrī
justuju teri dard-e-sar Thahri
le ke mujh ko ye dar-ba-dar Thahri
tujh se mansub jab talak main rahi
meri hasti bhi mo'atabar Thahri
ye meri zindagi tumhaare baghair
kitni be-rang-o-muKHtasar Thahri
mushkilen mujh ko DhunDne niklen
dam jo lene ko lamha bhar Thahri
ye saliqa tujhi se aaya hai
baat karne mein ba-hunar Thahri
uf teri banhon ka hisar-e-latif
yun laga sham mein sahar Thahri
jis pe mahw-e-safar raha tu mudam
bas wahi meri rahguzar Thahri
ek tum ho ki hath mein patthar
aur main ek shishagar Thahri
apne irfan-e-zat se 'rumi'
apne andar main mo'atabar Thahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.