jun fauj ki maftuh ho zanjir mein aawe
juuñ fauj ki maftūh ho zanjīr meñ aave
alfāz kā lashkar mirī tahrīr meñ aave
ik ḳhaas ināyat hai ki dete nahīñ mujh ko
vo dard ki jo panja-e-tadbīr meñ aave
yaksar rag-e-mansūr kī himmat se pare hai
vo ilm ki ik arsa-e-taqtīr meñ aave
jo chāhe bhare maiñ ne musavvir se kahā thā
kuchh rang-e-mohabbat mirī tasvīr meñ aave
vo baat ḳhushā detā hai dil jis kī gavāhī
ye kyā ki kaho aglī asātīr meñ aave
jo hukm tumhārā hai vo vājib hai bilā-shak
jo arz hamārī hai vo ta.azīr meñ aave
hai garche bahut mere liye ḳhvāb kī duniyā
kuchh aur maza ḳhvāb kī ta.abīr meñ aave
jis paas mudāvā nahīñ kuchh āb-o-havā kā
lāzim hai mire halqa-e-taqrīr meñ aave
mumkin nahīñ aadam ke liye shān-e-ḳhudā.ī
haañ yuuñ ki magar āya-e-tat.hīr meñ aave
jun fauj ki maftuh ho zanjir mein aawe
alfaz ka lashkar meri tahrir mein aawe
ek KHas inayat hai ki dete nahin mujh ko
wo dard ki jo panja-e-tadbir mein aawe
yaksar rag-e-mansur ki himmat se pare hai
wo ilm ki ek arsa-e-taqtir mein aawe
jo chahe bhare main ne musawwir se kaha tha
kuchh rang-e-mohabbat meri taswir mein aawe
wo baat KHusha deta hai dil jis ki gawahi
ye kya ki kaho agli asatir mein aawe
jo hukm tumhaara hai wo wajib hai bila-shak
jo arz hamari hai wo tazir mein aawe
hai garche bahut mere liye KHwab ki duniya
kuchh aur maza KHwab ki tabir mein aawe
jis pas mudawa nahin kuchh aab-o-hawa ka
lazim hai mere halqa-e-taqrir mein aawe
mumkin nahin aadam ke liye shan-e-KHudai
han yun ki magar aaya-e-tathir mein aawe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.