jun hi sar se chadar sarki
juuñ hī sar se chādar sarkī
ūñchī huiiñ fasīleñ ghar kī
dekh musavvir gahrā paanī
aur tasvīr banā andar kī
umr pe taarī ho jaatī hai
nabz kabhī ik lamhe bhar kī
tārīkī hī tārīkī hai
būjhe kaun pahelī Dar kī
saare aañsū pī jaatī hai
maañ sī aadat hai chādar kī
raste meñ dil haar aa.e haiñ
ḳhaak kahīñ rūdād safar kī
yaar 'shumāma' dekh sañbhal kar
kāñch hai tū duniyā patthar kī
jun hi sar se chadar sarki
unchi huin fasilen ghar ki
dekh musawwir gahra pani
aur taswir bana andar ki
umr pe tari ho jati hai
nabz kabhi ek lamhe bhar ki
tariki hi tariki hai
bujhe kaun paheli Dar ki
sare aansu pi jati hai
man si aadat hai chadar ki
raste mein dil haar aae hain
KHak kahin rudad safar ki
yar 'shumama' dekh sanbhal kar
kanch hai tu duniya patthar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.