junhi nigah mein tera chehra utar gaya
jūñhī nigāh meñ tirā chehra utar gayā
dāman udaas raat kā tāroñ se bhar gayā
us bhiiḌ meñ savāl mirī zindagī kā thā
dastār thāme haath meñ tū bhī guzar gayā
kab ḳhvāb-kār-e-ishq meñ tai kar sakā koī
jitnī mirī bisāt thī utnā maiñ kar gayā
us ne jalā-bujhā ke satāyā hazār baar
jab bhī charāġh use mirī dene ḳhabar gayā
tark-e-ta.alluqāt kī bābat 'naved' aaj
pūchhā jab aa.ine se to vo bhī mukar gayā
junhi nigah mein tera chehra utar gaya
daman udas raat ka taron se bhar gaya
us bhiD mein sawal meri zindagi ka tha
dastar thame hath mein tu bhi guzar gaya
kab KHwab-kar-e-ishq mein tai kar saka koi
jitni meri bisat thi utna main kar gaya
us ne jala-bujha ke sataya hazar bar
jab bhi charagh use meri dene KHabar gaya
tark-e-talluqat ki babat 'nawed' aaj
puchha jab aaine se to wo bhi mukar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.