junhi tewar hua ke baiTh gae
jūñhī tevar huā ke baiTh ga.e
ham diyoñ ko bujhā ke baiTh ga.e
us ne rasman kahā Thahar jaao
aur ham muskurā ke baiTh ga.e
baaġh meñ muntazir the ham us ke
kuchh parinde bhī aa ke baiTh ga.e
sher paḌhne shakeb-o-sarvat ke
ham bhī paTrī pe jā ke baiTh ga.e
muntazir the nigār-ḳhāne ke
ā.inoñ ko sajā ke baiTh ga.e
terā va.ada thā lauT aane kā
aur tum ho ki jā ke baiTh ga.e
junhi tewar hua ke baiTh gae
hum diyon ko bujha ke baiTh gae
us ne rasman kaha Thahar jao
aur hum muskura ke baiTh gae
bagh mein muntazir the hum us ke
kuchh parinde bhi aa ke baiTh gae
sher paDhne shakeb-o-sarwat ke
hum bhi paTri pe ja ke baiTh gae
muntazir the nigar-KHane ke
aainon ko saja ke baiTh gae
tera wada tha lauT aane ka
aur tum ho ki ja ke baiTh gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.