juz nadamat malal kya hoga
juz nadāmat malāl kyā hogā
hāsil-e-ishti'āl kyā hogā
maiñ ki ḳhāna-ba-dosh huuñ mujh ko
hijratoñ kā malāl kyā hogā
ḳhāmushī jab kalām kartī ho
phir vahāñ qīl-o-qāl kyā hogā
ek muddat se hijr lāhaq hai
koī mujh sā niDhāl kyā hogā
jis pe va.ada hai rab kī baḳhshish kā
qatra-e-infi'āl kyā hogā
zid pe aa.e hue haiñ ashk mire
zabt ab terā haal kyā hogā
dost tarkash-ba-dosh haiñ 'shāzī'
zaḳhm kā indimāl kyā hogā
juz nadamat malal kya hoga
hasil-e-ishti'al kya hoga
main ki KHana-ba-dosh hun mujh ko
hijraton ka malal kya hoga
KHamushi jab kalam karti ho
phir wahan qil-o-qal kya hoga
ek muddat se hijr lahaq hai
koi mujh sa niDhaal kya hoga
jis pe wada hai rab ki baKHshish ka
qatra-e-infi'al kya hoga
zid pe aae hue hain ashk mere
zabt ab tera haal kya hoga
dost tarkash-ba-dosh hain 'shazi'
zaKHm ka indimal kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.