kabe ko jaen kis liye aur kyun kunisht ko
ka.abe ko jaa.eñ kis liye aur kyuuñ kunisht ko
pahuñchīñ yahīñ se bandagiyāñ sañg-o-ḳhisht ko
gar husn-e-gandumī tirā un ko na thā pasand
aadam ne chhoḌā kis liye bāġh-e-bahisht ko
hai mere aage ek gul-o-ḳhār-o-nek-o-bad
allāh ne banāyā hai har ḳhūb-o-zisht ko
bārish zarūr chāhiye abr-e-fareb kī
shatranj saañ jo chāhe koī sabz-e-kisht ko
laayā ḳhudā jo ba.ad-e-anāsir zuhūr meñ
qaa.em kiyā hai mujh se par un kī sarisht ko
likkhā ḳhat-e-shikasta meñ hai yak-qalam vaqār
munshī-e-āsmāñ ne mirī sarnavisht ko
kabe ko jaen kis liye aur kyun kunisht ko
pahunchin yahin se bandagiyan sang-o-KHisht ko
gar husn-e-gandumi tera un ko na tha pasand
aadam ne chhoDa kis liye bagh-e-bahisht ko
hai mere aage ek gul-o-KHar-o-nek-o-bad
allah ne banaya hai har KHub-o-zisht ko
barish zarur chahiye abr-e-fareb ki
shatranj san jo chahe koi sabz-e-kisht ko
laya KHuda jo baad-e-anasir zuhur mein
qaem kiya hai mujh se par un ki sarisht ko
likkha KHat-e-shikasta mein hai yak-qalam waqar
munshi-e-asman ne meri sarnawisht ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.